Friday, March 28, 2008

Aadat muskarane ki

Pyaar karte the jinse,
Izzat dete the jinhe,
Har pal apne khayalon main,
Jagah dete the jinhe,
Ab milne ko taras jate hai unse,
Aj wo itne begaane ho gaye,
Dekh kar andekha kar dete hai wo,
Aj hum itne anjaane ho gaye,
Kismat ko ye manzoor hoga,
Kabhi socha na tha,
Ek din aisa bhi hoga,
Kabhi socha na tha,
Kusoor kiska hai,
Jiska bhi ho,
Par dil to dono taraf toote hai,
Saath to dono ke hi choote hai,
Chahte to wo bhi honge hamein,
Itna to zaroor hai,
Par gar muh se na kahein,
To isme kiska kusoor hai,
Zindagi choti lagti hai,
Jab khushion se bhari hoti hai,
Par iska ant nahi dikhta,
mulakat iski jab gam se hoti hai,
Par maine suna hai,
Huzoom-e-gam aadat badal nahi saki uski,
Jiksi aadat ho muskarane ki....

Wednesday, March 26, 2008

ek kadam peeche ko le jao.....

main dooba tha khud main kahin
ye pata tab chala
jab saans ukhadne lagi
un antim palon main khyaal aaya
ki maine aaj tak kya paaya
ki maine aaj tak kya kiya
kya sirf khud ke liye jiya
jab choda tha ghar ka aangan
tab aankhon main sirf sapne the
jeevan main ek nahin
kae mukaam hasil karne the
jeevan ki aapadhapi main
kitne he pal gujar gaye
ab to ye bhi yaad nahi ki
pichli baar kab maa ke pass baitha tha
unki baatein suni thi
wo khush rehte the
kyunki hum khush rehte the
aur hum khush rehte the
bas apni he zindgi main
par samay kahan rukta hai
har insaan ek din uske saamne jhukta hai
bas yahi kahunga ki
har kadam aage ki or badhaye hain
jara ek kadam peeche ki or bhi le jao
jara laut kar apne maa baap ke pass wapas jao

Friday, March 21, 2008

paimana zindigi ka...

jara ruko....
idhar to dekho...
kahan jaa rahe ho...
abhi to shaam hue hai,
poori raat baaki hai....

akele to tum bhi ho...
kiska sath talash rae ho....
gar gam hai to kyun haste ho,
ye aansu kisse chipa rahe ho....

main may hun...
main tera saath dungi...
mujhe hoton se to lagao,
zindigi tere naam kar dungi...

main muda aur bola,
"akela main nahi,
akeli to tum ho.....
jo sath talash rahi ho
gam main hasna he to zindgi hai,
aur tum mujhe zindgi sikha rahi ho



are main zindgi hosh main jeeta hun,
aur agar madhosh hona hota hai to

paimana jaam ka nahi
zindgi kaa peeta hun.....

Thursday, February 28, 2008

wo chehra.....

har din chehre to hazaron dekhte hai

par wo lakho main ek tha….

jo ek din dikh gaya……..

jo nazre ruki to tiki rah gaye….

na jaane kitna kuch yeh dil sah gaya….

wo chale jaa rahe the

hum khiche jaa rahe the….

socha ki…bas….rok lu…..

unhe ek pal ke liye….

ki bas…..ojhal ho gaya….

Wo chehra kahin…..

ye mann bechan ho gaya..

main daudne laga….

“kahan gaye wo,

abhi to yahin thi”….

dil ye rone laga…

mann tadapne laga….

Par aankho ko maine

jab band kiya…

chehra wahi bas nazar aaya

“are ye to meri kalpanao main hai,

mere dil main hai..mere mann main hai,

dekha tha use bas do pal ke liye….

par kis kadar wo mere jahan main bas gaya

AB HAALE DIL YE HAI KI

JAB AANKHE KHOLTA HUN

TO BEDARD DUNIYA DIKHTI HAI

AUR JAB BAND KARTA HUN TO

Zindgi…..

Sunday, February 17, 2008

Salam Zindgi...

Ye Zindgi kaisi hai…

Kaisi hai ye zindgi..

Sahara lekar shuru hoti hai

sahare par hi khatm….

AUR

Pairon par apne jab khadi hoti hai

To daudne lagti hai

Kabhi is rah...Kabhi us rah

Har mod par pathik milta hai

Kabhi Aasha ka pathik

Kabhi nirasha ka pathik

Kabhi sukh ka to kabhi dukh ka

Naya koi kabhi mil jaata hai

Purana koi kabhi bichad jaata hai

Raat bitati hai sapne dekhkar

To din un sapno ke picche daudkar

Aankh ke aansu aur hoton ki muskan

Bas inhi bhawnao ke beech phansi hai Zindgi

Kyun kuch na milne ka dukh hota hai

Kyun kuch pane par santushti nahi hoti

KAHIN..

Zindgi paani ki wo dhara to nahi

Jiska karm bas bahna hai……

Jo…agar ruk gaye to

Bimaari ko hi janm degi

TO…

Thak gaye ho to araam karo

Par ruko nahi….tum daudte raho

Har mod par koi thaka milega

Uska bhi haath tham aage chalte chalo

ARE..

KHUD KE LIYE TO JEETA HAR INSAAN HAI

PAR JO DUSRO KO JEENA SIKHA JAAYE

AISI ZINDGI KO MERA SALAAM HAI

Tuesday, February 5, 2008

badlaav...

main daud raha hun

saans phool rahi hai

par phir bhi daud raha hun

kyunki…aaj agar..

apni jagah par bane rahna hai

to daudna hoga…..

main lad raha hun

apne antarman se,.

jeetna chahta hun khud ko…

shayad isiliye aaj pehli baar,

maine apni har kamiyo ko

swekaar kiya hai….

Aisa lagta hai ki,

Kuch nazre ab mujhe dekhne lagi hai

Aur bahut see nazre mujhe dekhne lagengi

Ab ye bilkul sach lagta hai ki,

Vichar agar vistrit hoon

to duniya choti ho jaati hai

aur…aadmi ladna seekh jaata hai


Aur jo khud se ladna seekh jaata hai

WO ZINDIGI KI DAUD MAIN

AAGE NIKAL JAATA HAI.

Wednesday, January 16, 2008

Mera Safar (ab tak...)

Kabhi main poochta tha khud se ki

Kya ye mukam hasil kar paoonga

Par chala to hasil kar liya…..

Yaad aate hai wo pal

Shuruati daur ke,

Jab maine aur mere doston ne

Sath baithkar tay ki thi apni apni manzile

Chale the hum ek sath

Apni apni rah par

Kitna josh tha sabki ankhon main

Par wastvikta ki chattan se tkrakar

Kuch to toot kar bikhar gaye,

Kuch tod kar aage nikal gaye..

Unme kahi main bhi tha

Jo us chattan par,

apne sangharsh ka war kar raha tha

kabhi main chotil hua,

to kabhi chattan bhi tooti

par mere mann ko khushi hue ki

haan...maine sangharsh kiya

maine socha hi nahi…main chala

aur lakshya ko hasil kar liya,

main tab bhi bheed ka hissa tha

main aaj bhi bhid ka hissa hun

bas us bheed main badlav aaya hai

PAR MAIN JAANTA HUN KI,

Manzil ke upar manzile banti hai

Aur unchain badhti jaati hai

AUR BAS YAHI SOCHTA HUN,

Ki kab us manzil par pahunch paoonga

Jahan bheed khatm hoti dikahi padti hai…