Wednesday, March 26, 2008

ek kadam peeche ko le jao.....

main dooba tha khud main kahin
ye pata tab chala
jab saans ukhadne lagi
un antim palon main khyaal aaya
ki maine aaj tak kya paaya
ki maine aaj tak kya kiya
kya sirf khud ke liye jiya
jab choda tha ghar ka aangan
tab aankhon main sirf sapne the
jeevan main ek nahin
kae mukaam hasil karne the
jeevan ki aapadhapi main
kitne he pal gujar gaye
ab to ye bhi yaad nahi ki
pichli baar kab maa ke pass baitha tha
unki baatein suni thi
wo khush rehte the
kyunki hum khush rehte the
aur hum khush rehte the
bas apni he zindgi main
par samay kahan rukta hai
har insaan ek din uske saamne jhukta hai
bas yahi kahunga ki
har kadam aage ki or badhaye hain
jara ek kadam peeche ki or bhi le jao
jara laut kar apne maa baap ke pass wapas jao

No comments: