Saturday, February 21, 2009

Dedicated to dreamers...

choona hai aasman agar to 
pehle zameen ko mehsoos kar
kitni kathor hai wo 
kitni pathrele hai wo

utar chashma aankhon se jisse 
dikhti hai duniya rang raunak se bhari
utar chappal pairo se jisse
mehsoos nahi hote kankar sadak per pade

mann raunak ko dekhta hai
dimag chahat ko chahta hai
aur chahat bhi aise ki jiske
aas pass koi raunak nahi dikhti

par abhi nahi socha to 
phir samay nikal jayega
lene honge nirnay kathin
tabhi apna lakshay mil payega

Wednesday, February 11, 2009

yatharth..

jeewan ki aapadhapi main
kitne he pal yun gujar gaye
jaane kab kaun kahan kaise
milte gaye aur bichad gaye

maine phool ko khelte dekha hai
mausam ko badalte dekha hai
the patjahd bhi aaye jeevan main
bhi girte ko sambhalte dekha hai

jeevan ka karm gujarna hai
mausam ka karm badalna hai
karm ko karna karm humara
isi pravaah main jeena hai

jee lo jee lo tum bhi je lo
mat socho itna ki kya hoga
jeevan ras to amrit hai
tum bhi is amrit ko pe lo 

vishwas agar ho man main to
kaante bhi komal lagte hai
aur kaanto par chalne ko he
jeevan jeena kehte hai