Monday, January 26, 2009

apni raah



dekhta tha talashta tha
sath kisi ka chalne ke liye
jo sath mila to
to kabhi unke aage chalte the
to kabhi unke peeche chalte the

shayad unke barabar chalna hai
to kuch to khona padega
apne aap ko bhulkar
mujhe unsa hona padega

par ab lagta hai ki
jab apni rah nahi dikhti 
to hum sath talashte hai
apni rah bana sakte hai
par dosro ki rah par 
kadam badhate hai

ek bar apni soch main 
kho kar to dekho
apne mehnat ke dhaage main
khwabo ke moti perokar to dekho

jeewan main ek fark dikha hai
aisa karne se....
kal hum kisi ke barabar hona chahte the
aaj koi humaare barabar hona chahta hai