Sunday, June 8, 2008

mukti..

ek bar main raaste se jaa raha tha
pairon se dhool uda raha tha
aankhe thi meri nazaro par
pao the man ke isharo par
ki tabhi paani ki ek boond mujhse takraaye
tabhi doosri aaye aur phir jhadi lag gaye
socha ki jaldi kahi jaun
khud ko bheegne se bachaoon
ki dekha tabhi kuch baccho ko
jo bheeg rahe the
khushi main nach rahe the
man ne kaha ki
aaj main bhi bheeg jau
khoob koodu paani main chapchapau
in boondo ki dori ko pakadkar
aakash main chadh jau
aur aisa karke maine paya
ki kitne bandhno main
jakad ke rakha tha maine khud ko
jab toda inhe to laga ki
ye meri khud se pahli mulakat hai
ab sochta hun ki
hum kyun vyarth main samaj ki phikra karte hai
khud ko khush rakh sakte hai....
par nahi rakhte hai