Monday, August 11, 2008

talash..

aaj mai uljhan main hun
sochta hun kya karoon
kaise santusht karun khud ko
aankhen band karta hun
to ek antheen rasta dikhta hai
jo ki bheed se bhara hua hai
jahan har koi prayasrat hai
kuch paane ke liye
jise paa kar bhi wo santusht hoga
ye use pata nahi
sabhi chal rahe hai ek ke peeche ek
ek ek kadam badha rahe hai
bas bheed se alag dikhna hai
isi chahat main chalte jaa rahe hai
aaj bheed se alag dikne walo ki
bhi bheed ho gaye hai
jaise lagta hai ki zindigi main
chain ki saanso ki kami ho gaye hai
par saans chain ki ho ya na ho
zinda rehna hai to leni padegi he
to bas....
har pal ke sath saans lete jaa rahe hai
us pal ke intzar main ki
akhir kabhi to milegi wo manzil
jahan phuch kar lagega
haan yahi hai wo mukam
jahan mujhe pahuchana tha