Sunday, July 11, 2010

forgive me...

Ohh God..
forgive me for
what I've done
saved life of
my friends wife
from an accident
got thanks on my cheeks
I replied the way she did
my friend took an offence
and lost his sense
he attacked me in vengence
his punch was hard like
a hammer's blow on my face
I said...wait dude...
I'll give you back
not a punch but a heart - attack
I proposed his wife
in front of him
unbelievably she accepted
she kicked him on his ass
the only option now I have
dating her every weekend
coz recently I've got married
with my old girlfriend
God please suggest me the way
to get rid of this situation
n' forgive me for
what I've done

Wednesday, July 7, 2010

ek aur mulyankan

Kya sochta hai..usne
kuchal diya
mere vishwas ko
daba diya
ubharte jazbat ko
usne mere prayas ka
ye sila diya
ki ab lagta hai
prayas he kyun kiya
usne kaha ki
aur kya chahte ho
main bhagwan nahi
mujhse kyun mangte ho
use dekh maine socha
jo hota hai
acche le lie he hota hai
aise he insan
apni durdarshita khota hai
ye duniya bhi ajab nirali hai
shwet pardarshi dikhte hai
par andar se kali hai
maine usse kaha ki
aaj tum seedhe khade ho
kyunki maine tumhara
panv tham rakha hai
main to neev hun
mera kya kar loge
chod dunga panv
muh ke bal giroge
par sach hai ki
agar aasan hota tumhe paana to
koshish kab ki dum tod chuki hoti
agar band kar dein aazmana to
to jeet shikhar par nahi hoti
hum itna aitbar khud par karte hai
ki apna ashiyana bana lenge
mujhme dum hai kitna
waqt aane par dikha denge

Saturday, February 20, 2010

Shikayat ;)

ye shikayat hai us rab se
ki kyun gum main rulate hai
jab haqeqat se milana nahi rehta
to khwab he kyun dikhate hai
pehle to insan banaya
us per se dil aur jazbat diae
phir unke hatho majboor kiya
aur chod diya humain rone ke liye
jab rulate hai to...
chup karane kyun nahi aate hai
jab haqeqat se milana nahi rehta
to khwab he kyun dikhate hai

Wednesday, February 17, 2010

ye zindgi hai

Janab ye zindgi hai
yun he chalti rahegi
sapno aur haqeeqat ke beech
yun he palti rahegi

hum jo chahenge wo
aksar nahi hoga phir bhi
use paane ki kashmakash main
yun he peghalti rahegi

lamho ka aana aur jaana
yun he chalta rahega
khushiyon ka khona paana
yun he chalta rahega

narazagi kisi par hogi
gussa kisi par utrega
wo aise he ruthte rahenge
humara manana yun he chalta rahega

par kehte hai ki
jeene main maza tabhi aata hai
jab jeevan main trishna hoti hai
use bujhane ka koshish main
zindgi yun he kat te rehte hai

aaj phir se

Jaane kyun phir se aaj
mujhe lagne laga ki
main jo bhi hun jahan bhi hun
usse kahin door jaana hai
ye mera wo mukam nahi
jo mujhe paana hai
jaane kyun phir se aaj
mujhe lagne laga ki
wo masti ke din laut aaye
saare purane dost mil jaye
ghume phire khaye piyen
khoob masti karen mauj manaen
shayad aisa islie kyunki
dil to baccha hai je...
thoda kaccha hai je...