Wednesday, December 26, 2007

bachpan..

kiti befikri hai…..

kitni masoomiyat hai…

har pal main kitni khushi hai…

sach main bachpan to bachpan hi hai..

na kisi se aage nikalne ki chinta….

Na kisi se peeche ho jane ka dar….

Ye zindgi kitni mauj se bhari hai…

Sach main bachpan to bachpan hi hai..

Dukhi hue to ro diya…

Khush hue to hans diya…

Jo mann main aaya kah diya….

Nahi koi dikhawa hai….kitni bebaaki hai..

Sach main bachpan to bachpan hi hai…

Kaun kya hai koi fikra nahin….

Na kisi se irshya na kisi se dvyesh hai….

Phoolon sa sundar aur hawaon sa chanchal hai..

Sach main bachpan to bachpan hi hai….

Dosti..

KAHTE HAI….

Wo dosti kya jo toot jaaye…..

Wo dost hi kya jo choot jaaye…

Dost wo hai,

Jiske pass hone ka ahsaas har pal ho,

Jiske saath hone ka ahsaas har pal ho,

Jab koi na ho saath…

Jab mann main ho koi baat…

Jab aankhon main aansoon ho…

Jab dil main gam ho….

Jab khushi ka koi pal ho….

PAR LAGTA HAI KI AB…

Jaise dosti ke mayne badal gaye hai….

Jaise dosti karne ke kayde badal gaye hai…

Dosti main dhokhadhadi ek aam baat ho gaye hai…

YAHI KAHOONGA KI AB…

Doston ki rajneeti se,

Dosti badnaam hogaye hai….

Friday, December 21, 2007

jab kabhi main....

jab kabhi main vichlit ho jaata hun….

To kuch khojne lagta hun,

Par kya…ye main bhi nahi jaanta….

Mere antarman main dikhti hai…

Ek dhundhli se chavi…

Sochta hun kya hai wahi…

jo main khojta hun…

lagta hai…ki koi prarit karta hai mujhe,

disha dikhata hai….

Kuch karna hai…

Kuch karke dikhana hai..

Ye ahsaas dilate hai…

Lagta hai ki….

Ye vishwaas hai un sabhi ka,

Jo mere apne hai…

jo urja dete hai mujhko..

us ujaale ko pane ke liye….

Jo ojhal hai mere mann ke andhkaar main,

Aur..vishwaas hai mera khud par,

Unke vishwaas ko banaye rakhne kaa….

Is uljhan main ulajh jaata hun…

Jab lakshaya se apna man hatata hun..

To kuch hi pal main mann urjaa se bhar jaata hai,

Paana hai kya ye samajh main aa jaata hai..

Monday, December 17, 2007

Pahli mulakat...

wo meri pehli mulakat thi….

Hum the anjaan ek doosre se….

Par na jaane mujhe aisa kyun laga….

Ki aaj se pehle mujhe aise kisi ne nahi dekha….

Wo dekh rahi thi mujhko ek tak…

Kuch sawal the uski aankhon main….

Wo meri or badhi bedhdak….

Meri saanse dheemi aur dhadkan tej ho gaye….

Main kalpanao ke sagar main kho gaya

Maine aankhen band ki ..aur..

Wahi khade –khade besudh ho gaya

Thode hi pal main wo mere pass aa gaye..

Laga ki jubaan jaam ho gaye…

Barson ki ekagrata aaj nakaam ho gaye…

Usne mujhsse poocha “tum sagar ho”

Maine khud se kaha “main sagar kyun nahi hun”

Maine usse kaha “nahi”

Phir wo “sorry” kah kar chali gaye…

Us pal main maine kitni bhavnao ko mahsoos kiya…

Kitni sambhavnae ho sakti thi..

Main man main muskuraya aur aage badh gaya..

Kuch der baad phir kisi se nazre char ho gaye..

Maine sochaki ye ittfaq nahi ho sakta..

Tabhi dhyaan aaya ki….

Nazre to aaj pahli baar,

Maine kisi se milai hai…

Kisi ki aankhon main dekha hai…

Apni nazro par se,

Palkon ki chilman uthai hai…

To doston mat tadpo kisi ke liye..

Nazre utha kar to dekho…

shayad koi tumse…

nazre milane ke liye bekraar ho….

Wednesday, December 12, 2007

Zara Muskuraiye....

Zara muskuraiye…

Kyonki muskarana aasan nahi hota…

Aur asani se jo ho jaye…

Aisa kaam koi kaam nahi hota…

Ajj har koi kuch aisa karna chahta hai…

Jo mushkil ho…

To janaab…

Aaj muskurate rehna hi sabse mushkil hai….

To soch kya rahe hai….

Zara mukuraiye….

Zindigi mauka deti hai...

bahuton ko kahte suna hai,

ki zindgi mauka deti hai…..

agar ek mauka gawa diya…

to kya….

.doosre ka intazaar karma hoga…?

nahi…. har karya ka ek samay hota hai,

jo humain nishchit karna padta hai…..

kuch ke jeewan main wo samay jaldi aata hai,

kuch ko thoda intzaar karna padta hai….

Sabse jaroori hai ki….

Khud ko khud ka saath dena hota hai….

Kyonki…mahak foolon main tab tak hi hoti hai,

Jab tak wo murjhate nahi,

Aur…mahak bhi tabhi failti hai,

jab hawa ka saath hota hai…

shayad ye mere liye nahi tha….

shayad main iske layak nahi…..

mere saath hi aisa kyun hota hai…

akhir main hi kyun….

Shayad hi aisa koi insaan hoga,

Jisne jeewan main ek baar,

Aisa khud se na poocha ho,

Par hamesha yaad rakhna chahiye,

KI ZINDGI MAUKA DETI HAI….

Jeewan chakra..

ek kumhaar chakka ghuma raha hai…

wo bahut khus hai… kyonki…

wo us mitti ko …

jiska koi mol nahi,

jo ki nirjeev see zameen par padi hai,

jo ki logo ke paron se…

kuchli aur raundi ja rahi hai,

jiske astitva par kisi kaa dhyaan nahi hai…

us mitti ko kumhaar ek aakaar dene waala hai..

wo us mitti ko chakke par rakhta hai..

use bahut hi sawdhani aur pyaar ke saath,

apne haathon se akaar deta hai…

wo us mitti ko,

jo ab ek aakar le chuki hai,

kabhi upar se chot deta hai..

kabhi andar se chot deta hai ..

aur ab wo mitti sudridh aakaar le chuki hai..

jo dekhne main sundar hai..

par abhi bhi use aag ki tapan se guzarna hai…

uske baad hi wo itni mazboot ho payegi..

ki aage ki choti moti chote uspar beasar hongi…

haan, ab wo puri tarah se tayaar hai..

log use dekh rahe hai..sarah rahe hai…

aaj wo kisi ghar ko susajjit kar rahi hai..

aaj uska bhi mol hai..

aaj wo khud bhi sajeev hai…aur

jahan hai…. us jagah ko bhi sajeevta se bhar rahi hai….

Hum sabhi mitti hai…AUR.......

KUMHAAR KA CHAKKA BINA RUKE GHUM RAHA HAI…

Ye jo hai zindgi....

Ye jo hai zindgi…..

Har pal kuch sikhati hai….

Swabhav kabhi kisi ka ek sa nahi rehta…

Isme roz naya badlav lati hai…..

Ek insaan ta umra yahi sikhta rehta hai…

Ki zindgi kaise jee jaati hai…

Kehte hai…ki..

Har pal khush rehna chahiye,

Par kya yeh sambhav hai..

Doodron main gud aur khud main kamiyaan dekhni chahiye,

Par kya yeh sambhav hai…

Aaj kisi ko khud ki galti nazar nahi aati…

Agar koi insaan khud se pooche,

Ki usne kya galat kia…

To shayad wo khud ko jawaab nahi de sakta…

Ye sach hai ki…do insaan kabhi ek saa nahi sochte…

Par tal-mail tab bhi baithta hai….

Yeh aise hota hai ki…..

Kabhi khud ko jhukna padta hai

Aur kabhi-kabhi havi bhi hona padta hai,

Zindgi main ek pal jwaar aata hai ,

To doosre hi pal bhaata bhi aata hai…

Subah aur shaam ka intzaar nahi karma padta,

Insaan sochta hi rehta hai,

Aur manzar badal jaata hai,

Har doosre pl ek sahi nirnay lena padta hai….

Zindgi jeene ka matlab,

Sirf khud ke liye jeena nahi hota….

Zindgi yahi batati hai…

Aur har pal kuch naya sikha jaati hai…

Kash kuch aisa.........

KASH! Aisa ho jaye………..

Ki harsh se mera mann bhar jaye

Poore ho jaye mere sapne…..

Sabhi ho jaye mere apne……

Mushkil mushkil na lage…aur..

Mann har samay muskuraye…

Kash! Ki kuch aisa ho jaye…..

Ki harsh se mera mann bhar jaye..

Koi ho jo mujhe hasaye…..

Mere dukh mein mere pass aaye…

Meri har baat samjhe aur mujhe samjhaye..

Meri aankhein padh ker mere dil Ka haal bataye

Kash ! ki koi aisa mil jaye …

Ki harsh se mera mann bhar jaye

aisa kyun hota hai……..

ki jo accha lagta hai uska saath chanik hota hai

kash! Ki jab wo mere pass aaye………

to woh pal wahin ruk jaye …….

Kash! Aisa ho ki koi mujhe mil jaye…

Ki harsh se mera mann bhar jaye..