kiti befikri hai…..
kitni masoomiyat hai…
har pal main kitni khushi hai…
sach main bachpan to bachpan hi hai..
na kisi se aage nikalne ki chinta….
Na kisi se peeche ho jane ka dar….
Ye zindgi kitni mauj se bhari hai…
Sach main bachpan to bachpan hi hai..
Dukhi hue to ro diya…
Khush hue to hans diya…
Jo mann main aaya kah diya….
Nahi koi dikhawa hai….kitni bebaaki hai..
Sach main bachpan to bachpan hi hai…
Kaun kya hai koi fikra nahin….
Na kisi se irshya na kisi se dvyesh hai….
Phoolon sa sundar aur hawaon sa chanchal hai..
Sach main bachpan to bachpan hi hai….
3 comments:
sach main bachpan to bachpan hi hai,
dil ko lubhata,
sapno ki duniya sa,
pyaar se bhara,
badmashion se bhara,
sach main bachpan to bachpan hi hai..
Cheers!!
sahi hai bidu
kya baat hai...phir se bachpan ke din yaad aa gaye.......
sach main bachpan to bachpan hi hai
keep writting....
CHEERS!!
Post a Comment