Friday, March 28, 2008

Aadat muskarane ki

Pyaar karte the jinse,
Izzat dete the jinhe,
Har pal apne khayalon main,
Jagah dete the jinhe,
Ab milne ko taras jate hai unse,
Aj wo itne begaane ho gaye,
Dekh kar andekha kar dete hai wo,
Aj hum itne anjaane ho gaye,
Kismat ko ye manzoor hoga,
Kabhi socha na tha,
Ek din aisa bhi hoga,
Kabhi socha na tha,
Kusoor kiska hai,
Jiska bhi ho,
Par dil to dono taraf toote hai,
Saath to dono ke hi choote hai,
Chahte to wo bhi honge hamein,
Itna to zaroor hai,
Par gar muh se na kahein,
To isme kiska kusoor hai,
Zindagi choti lagti hai,
Jab khushion se bhari hoti hai,
Par iska ant nahi dikhta,
mulakat iski jab gam se hoti hai,
Par maine suna hai,
Huzoom-e-gam aadat badal nahi saki uski,
Jiksi aadat ho muskarane ki....

Wednesday, March 26, 2008

ek kadam peeche ko le jao.....

main dooba tha khud main kahin
ye pata tab chala
jab saans ukhadne lagi
un antim palon main khyaal aaya
ki maine aaj tak kya paaya
ki maine aaj tak kya kiya
kya sirf khud ke liye jiya
jab choda tha ghar ka aangan
tab aankhon main sirf sapne the
jeevan main ek nahin
kae mukaam hasil karne the
jeevan ki aapadhapi main
kitne he pal gujar gaye
ab to ye bhi yaad nahi ki
pichli baar kab maa ke pass baitha tha
unki baatein suni thi
wo khush rehte the
kyunki hum khush rehte the
aur hum khush rehte the
bas apni he zindgi main
par samay kahan rukta hai
har insaan ek din uske saamne jhukta hai
bas yahi kahunga ki
har kadam aage ki or badhaye hain
jara ek kadam peeche ki or bhi le jao
jara laut kar apne maa baap ke pass wapas jao

Friday, March 21, 2008

paimana zindigi ka...

jara ruko....
idhar to dekho...
kahan jaa rahe ho...
abhi to shaam hue hai,
poori raat baaki hai....

akele to tum bhi ho...
kiska sath talash rae ho....
gar gam hai to kyun haste ho,
ye aansu kisse chipa rahe ho....

main may hun...
main tera saath dungi...
mujhe hoton se to lagao,
zindigi tere naam kar dungi...

main muda aur bola,
"akela main nahi,
akeli to tum ho.....
jo sath talash rahi ho
gam main hasna he to zindgi hai,
aur tum mujhe zindgi sikha rahi ho



are main zindgi hosh main jeeta hun,
aur agar madhosh hona hota hai to

paimana jaam ka nahi
zindgi kaa peeta hun.....