Wednesday, August 5, 2009

aaj kuch aisa hua..

aakchi..uff kisi ne cheeka

kaun hai dekho to zara
bola ek ne humare group main se
dekha to ek madam thi
bagal ke cubical main
jo kal bheeg gaen thi barish main

bangalore ki barish he kuch aise hai
jab tak suraksha kavach le kar chalo
tab tak nahi aati hai
aur jahan aapne satarkta chodi
aap par baras jaati hai

han to madam ki cheek par ek ne bola
kahin kuch gadbad to nahi
kahin iske peeche swine flu to nahi
aaj kal roz akhbar main aata hai

jise cheek aati hai
sar dard hota hai
use samanya jukham nahi
swine flu ho jaata hai

chalo chal kar unhe batate hai
doctor ke pass jaane ki salah de aate hai
isi bahane mulakat ho jayegi
apne freindship ki shuruat ho jayegi

bas hum sab chal pade
ek nek irade ke sath
pass pahuche unka nam poocha apna nam bataya
par kisi ki zuban per S.flu ka nam nahi aaya

ek bola aapne shayad abhi do bar cheeka
aaj aapke sath zaror kuch bahot accha hoga
hum sabhi muskuraye ek dusre ko dekha
kam bola jyada samjha wapas apne cubical main aaye


Wednesday, July 29, 2009

meri wapsi

din gujar gaye kitne
kuch likha nahi maine
jald he wapas aunga
ek naye vichardhara ke sath
kuch naye khayalo se paripurn
apni rachnao ke sath

Saturday, February 21, 2009

Dedicated to dreamers...

choona hai aasman agar to 
pehle zameen ko mehsoos kar
kitni kathor hai wo 
kitni pathrele hai wo

utar chashma aankhon se jisse 
dikhti hai duniya rang raunak se bhari
utar chappal pairo se jisse
mehsoos nahi hote kankar sadak per pade

mann raunak ko dekhta hai
dimag chahat ko chahta hai
aur chahat bhi aise ki jiske
aas pass koi raunak nahi dikhti

par abhi nahi socha to 
phir samay nikal jayega
lene honge nirnay kathin
tabhi apna lakshay mil payega

Wednesday, February 11, 2009

yatharth..

jeewan ki aapadhapi main
kitne he pal yun gujar gaye
jaane kab kaun kahan kaise
milte gaye aur bichad gaye

maine phool ko khelte dekha hai
mausam ko badalte dekha hai
the patjahd bhi aaye jeevan main
bhi girte ko sambhalte dekha hai

jeevan ka karm gujarna hai
mausam ka karm badalna hai
karm ko karna karm humara
isi pravaah main jeena hai

jee lo jee lo tum bhi je lo
mat socho itna ki kya hoga
jeevan ras to amrit hai
tum bhi is amrit ko pe lo 

vishwas agar ho man main to
kaante bhi komal lagte hai
aur kaanto par chalne ko he
jeevan jeena kehte hai

Monday, January 26, 2009

apni raah



dekhta tha talashta tha
sath kisi ka chalne ke liye
jo sath mila to
to kabhi unke aage chalte the
to kabhi unke peeche chalte the

shayad unke barabar chalna hai
to kuch to khona padega
apne aap ko bhulkar
mujhe unsa hona padega

par ab lagta hai ki
jab apni rah nahi dikhti 
to hum sath talashte hai
apni rah bana sakte hai
par dosro ki rah par 
kadam badhate hai

ek bar apni soch main 
kho kar to dekho
apne mehnat ke dhaage main
khwabo ke moti perokar to dekho

jeewan main ek fark dikha hai
aisa karne se....
kal hum kisi ke barabar hona chahte the
aaj koi humaare barabar hona chahta hai