Wednesday, July 7, 2010

ek aur mulyankan

Kya sochta hai..usne
kuchal diya
mere vishwas ko
daba diya
ubharte jazbat ko
usne mere prayas ka
ye sila diya
ki ab lagta hai
prayas he kyun kiya
usne kaha ki
aur kya chahte ho
main bhagwan nahi
mujhse kyun mangte ho
use dekh maine socha
jo hota hai
acche le lie he hota hai
aise he insan
apni durdarshita khota hai
ye duniya bhi ajab nirali hai
shwet pardarshi dikhte hai
par andar se kali hai
maine usse kaha ki
aaj tum seedhe khade ho
kyunki maine tumhara
panv tham rakha hai
main to neev hun
mera kya kar loge
chod dunga panv
muh ke bal giroge
par sach hai ki
agar aasan hota tumhe paana to
koshish kab ki dum tod chuki hoti
agar band kar dein aazmana to
to jeet shikhar par nahi hoti
hum itna aitbar khud par karte hai
ki apna ashiyana bana lenge
mujhme dum hai kitna
waqt aane par dikha denge

No comments: