Sunday, February 17, 2008

Salam Zindgi...

Ye Zindgi kaisi hai…

Kaisi hai ye zindgi..

Sahara lekar shuru hoti hai

sahare par hi khatm….

AUR

Pairon par apne jab khadi hoti hai

To daudne lagti hai

Kabhi is rah...Kabhi us rah

Har mod par pathik milta hai

Kabhi Aasha ka pathik

Kabhi nirasha ka pathik

Kabhi sukh ka to kabhi dukh ka

Naya koi kabhi mil jaata hai

Purana koi kabhi bichad jaata hai

Raat bitati hai sapne dekhkar

To din un sapno ke picche daudkar

Aankh ke aansu aur hoton ki muskan

Bas inhi bhawnao ke beech phansi hai Zindgi

Kyun kuch na milne ka dukh hota hai

Kyun kuch pane par santushti nahi hoti

KAHIN..

Zindgi paani ki wo dhara to nahi

Jiska karm bas bahna hai……

Jo…agar ruk gaye to

Bimaari ko hi janm degi

TO…

Thak gaye ho to araam karo

Par ruko nahi….tum daudte raho

Har mod par koi thaka milega

Uska bhi haath tham aage chalte chalo

ARE..

KHUD KE LIYE TO JEETA HAR INSAAN HAI

PAR JO DUSRO KO JEENA SIKHA JAAYE

AISI ZINDGI KO MERA SALAAM HAI

1 comment:

Ravish said...

bahut badhiya. Zindagi tujhe salaam.

Cheers!!