Saturday, January 5, 2008

Manahsthiti.... (before results)

kuch din shesh bache hai ab….

Parinaam nikalne wala hai….

Jo kuch likh aaye parikcha main….

Uska phal ab milne wala hai….

Kya hoga…. Ab kya hoga….

Kya haan hoga kya naa hoga,

Kya galat kiya kya sahi kiya,

Kya likh aaye kya nahi likha,

har pal man mein ye aata hai…

aur dil bhay se bhar jaata hai…

sochta hun ab soch ker kya hoga …

jo karm kiya wo phalit hoga..

per main manav hun sadharan..

aur man main prashana viphalta ka….

aa hi jata hai akaaran….

Phir….

dil ki dhadkan bhad jaati hai,

saans gale main phas jaati hai,

lagta hai ab main kuch bhi nahi,

jeevan hai ab bekar mera,

ab main kuch ker sakta hun nahi…

lekin gar haarker baith gaye….

to jeevan ka kya matlab hoga..

ye jeevan to sangharsh prabhavi hai …

sangharsha to kerna hi hoga…

Aur phir se….

Naye umang se…Naye sfurti se…

mann ko bharna hoga……

saar yahi hai jeevan ka…

har pal prayaas jo kerte hai,

jo haarne se nahi darte hai,

wo kal per raaj kerte hai.

Gar safalta haath lagi..

to jeevan khushiyoon se bhar jaayega…

jo lakshya kiya tha tay maine..

wo mujhko mil jayega…

aise samjhata hun khud ko…

par naa jaane kya hone wala hai…

kuch din shesh bache hai ab….

parinaam nikalne wala hai.

4 comments:

Ravish said...

sab aacha hoga bandhuvar...vishwas hai hum sab ko..

par baat ekdum sahi kahi hai..kuch bhi ho jaye par rukna nahi..

Cheers!!

Unknown said...

"kuch din shesh bache hai ab........
parinaam nikalne wala hai......"

baat toh sach hai mere dost....par kya kare jeevan ek imthihaan hogai hai hamari....jab dekho parinaaam ka waqt aa jata hai......

just pray to God that we will win...AMEN

Cheers!!

Anonymous said...

amen..

Ashish said...

we r gonna do it . no need for prayers & amens