Wednesday, July 29, 2009

meri wapsi

din gujar gaye kitne
kuch likha nahi maine
jald he wapas aunga
ek naye vichardhara ke sath
kuch naye khayalo se paripurn
apni rachnao ke sath

Saturday, February 21, 2009

Dedicated to dreamers...

choona hai aasman agar to 
pehle zameen ko mehsoos kar
kitni kathor hai wo 
kitni pathrele hai wo

utar chashma aankhon se jisse 
dikhti hai duniya rang raunak se bhari
utar chappal pairo se jisse
mehsoos nahi hote kankar sadak per pade

mann raunak ko dekhta hai
dimag chahat ko chahta hai
aur chahat bhi aise ki jiske
aas pass koi raunak nahi dikhti

par abhi nahi socha to 
phir samay nikal jayega
lene honge nirnay kathin
tabhi apna lakshay mil payega

Wednesday, February 11, 2009

yatharth..

jeewan ki aapadhapi main
kitne he pal yun gujar gaye
jaane kab kaun kahan kaise
milte gaye aur bichad gaye

maine phool ko khelte dekha hai
mausam ko badalte dekha hai
the patjahd bhi aaye jeevan main
bhi girte ko sambhalte dekha hai

jeevan ka karm gujarna hai
mausam ka karm badalna hai
karm ko karna karm humara
isi pravaah main jeena hai

jee lo jee lo tum bhi je lo
mat socho itna ki kya hoga
jeevan ras to amrit hai
tum bhi is amrit ko pe lo 

vishwas agar ho man main to
kaante bhi komal lagte hai
aur kaanto par chalne ko he
jeevan jeena kehte hai

Monday, January 26, 2009

apni raah



dekhta tha talashta tha
sath kisi ka chalne ke liye
jo sath mila to
to kabhi unke aage chalte the
to kabhi unke peeche chalte the

shayad unke barabar chalna hai
to kuch to khona padega
apne aap ko bhulkar
mujhe unsa hona padega

par ab lagta hai ki
jab apni rah nahi dikhti 
to hum sath talashte hai
apni rah bana sakte hai
par dosro ki rah par 
kadam badhate hai

ek bar apni soch main 
kho kar to dekho
apne mehnat ke dhaage main
khwabo ke moti perokar to dekho

jeewan main ek fark dikha hai
aisa karne se....
kal hum kisi ke barabar hona chahte the
aaj koi humaare barabar hona chahta hai

Thursday, October 2, 2008

anmol seekh

goggle laga kar kise dekhne
chale sham ko matwale
kahan chale tum iron maiden ka
t shirt tan par daale
chale jhoomte masti main tum
kya apna path aaye bhool
kis kis ke upar nazar daloge
kahin na kar dena koi bhool
bade bade dil phek mit gaye
is rah par chal chal kar
dil todte rehte the jo
aaj phir rahe hai dil le kar
ye dagar bhai badi kathin hai
masti tak to thik hai
par bat jab aage badhti hai
to acche acche ro dete hai
unhe paane ki chahat main
apna sab kuch kho dete hai
to koi dikhe to do mat dhyan
kisi ki baat par do mat kaan
to tum kabhi na hoge dawadol
sukhi rahoge tum sada
sikh meri hai ye anmol

Sunday, September 28, 2008

sikha hai maine...

Din guzar rahe hai
umra badh rahi hai
soch badal rahi hai
uljhane badh rahi hai

ye hai soch
ek aam insan ki
bita dete hai wo zindgi
inhi char panktiyon ke ird gird

din ko to guzarna he hai
umra ko to badhna he hai
soch ko to badlna he hai
par kuch is tarah ki
uljhane kam ho jaaye

koi kam karne se pareshan hai
to koi aaram karne se pareshan hai
koi zindgi ko kos raha hai
to koi zindgi ke liye ro raha hai

lagta hai koi gehra rishta hai
uljhan aur zindgi ke beech
aisa he kuch mehsoos kiya maine
jab dekha kal shaam ko unhe

wo chale jaa rahe the
mand mand muskura rahe the
jaise kya mil gaya ho unhe
shayad unhe pata bhi na tha ki

unke pairon main chappal nahi
unke hatho main dastane nahi
unka kankaro par pair pada to
to wo ruke do minute ke liye

pairo ko sehlaya
halke se muskuraya
aur phir aage badh gaye
shayad wo hans rahe the un par

jinhone un kankaro ko phailaya hoga
ya fir shayad wo bhi aadi ho gaye hai
un kankaro par chalne ke liye
us chubhan ke dard ko sehne ke liye

lagta hai unke aankon ke aansuon ka sthan
unke hothon ki muskurahat ne le liya ho
shayad isiliy dukh ke palon main bhi
wo muskurate hai jaise ki apne
dard ko hansi main uda dete hai

ho sakta hai wo bhi apne zindgi main uljhe hue hon
ya unhe bhi kisi prerna ki talash ho
par unki zindgi ne mujhe ek ehsas zaroor karaya hai
kasht main kaise haste hai ye sikhaya hai

Monday, August 11, 2008

talash..

aaj mai uljhan main hun
sochta hun kya karoon
kaise santusht karun khud ko
aankhen band karta hun
to ek antheen rasta dikhta hai
jo ki bheed se bhara hua hai
jahan har koi prayasrat hai
kuch paane ke liye
jise paa kar bhi wo santusht hoga
ye use pata nahi
sabhi chal rahe hai ek ke peeche ek
ek ek kadam badha rahe hai
bas bheed se alag dikhna hai
isi chahat main chalte jaa rahe hai
aaj bheed se alag dikne walo ki
bhi bheed ho gaye hai
jaise lagta hai ki zindigi main
chain ki saanso ki kami ho gaye hai
par saans chain ki ho ya na ho
zinda rehna hai to leni padegi he
to bas....
har pal ke sath saans lete jaa rahe hai
us pal ke intzar main ki
akhir kabhi to milegi wo manzil
jahan phuch kar lagega
haan yahi hai wo mukam
jahan mujhe pahuchana tha